mila to hadisa kuchh aisa dil KHarash hua
milā to hādisa kuchh aisā dil ḳharāsh huā
vo TuuT phuuT ke bikhrā maiñ paash paash huā
tamām umr hī apne ḳhilāf sāzish kī
vo ehtiyāt kī ḳhud par na raaz faash huā
sitam to ye hai vo farhād-e-vaqt hai jis ne
na jū-e-shīr nikālī na but-tarāsh huā
yahī to dukh hai burā.ī bhī qā.ede se na kī
na maiñ sharīf rahā aur na bad-ma.āsh huā
ho ek baar kā ronā to ro.uuñ bhī dil ko
ye aa.ina to ka.ī baar paash paash huā
balā kā habs thā 'sājid' havā kī bastī meñ
chalī jo saañs kī aarī maiñ qaash qaash huā
mila to hadisa kuchh aisa dil KHarash hua
wo TuT phuT ke bikhra main pash pash hua
tamam umr hi apne KHilaf sazish ki
wo ehtiyat ki KHud par na raaz fash hua
sitam to ye hai wo farhad-e-waqt hai jis ne
na ju-e-shir nikali na but-tarash hua
yahi to dukh hai burai bhi qaede se na ki
na main sharif raha aur na bad-maash hua
ho ek bar ka rona to roun bhi dil ko
ye aaina to kai bar pash pash hua
bala ka habs tha 'sajid' hawa ki basti mein
chali jo sans ki aari main qash qash hua
- Book : kulliyat-e-iqbaal sajid (Pg. 305)
- Author : iqbaal sajid
- Publication : Jung Publishers (1994)
- Edition : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.