milan rut ke hasin sapne zara tabir karte hain
milan rut ke hasīñ sapne zarā ta.abīr karte haiñ
chalo in chāñd tāroñ ko yūñhī tasḳhīr karte haiñ
banā kar chāñd ko kashtī utar jaa.eñ kināre par
bhulā Dāleñ sabhī sadmāt jo dil-gīr karte haiñ
sabhī bāteñ sabhī qisse sabhī dukh bhuul kar apne
na.e qisse na.ī ġhazleñ koī tahrīr karte haiñ
jo lafzoñ aur ma.ānī se bahut hai māvarā pyāre
hai abjad se jo aage vo vafā tafsīr karte haiñ
bahut muñh-zor haiñ dekho nikal jaa.eñ na hāthoñ se
chalo uḌte hue lamhe yahīñ zanjīr karte haiñ
hasad kī aag ke sho.ale jo bhaḌkāte haiñ ai logo
jalāte haiñ ḳhud apnī jaañ jo ye taqsīr karte haiñ
shikārī nafs baiThā hai bichhā kar jaal har lamha
chalā kar tiir taqve ke use naḳhchīr karte haiñ
sukūt-e-shab ne dikhlā.e na.e taare tamannā ke
unheñ āñgan meñ laane kī koī tadbīr karte haiñ
rupahlī shaam ho yā hoñ savere arġhavānī se
'shafaq' rañgoñ ke sab manzar mujhe tasḳhīr karte haiñ
milan rut ke hasin sapne zara tabir karte hain
chalo in chand taron ko yunhi tasKHir karte hain
bana kar chand ko kashti utar jaen kinare par
bhula Dalen sabhi sadmat jo dil-gir karte hain
sabhi baaten sabhi qisse sabhi dukh bhul kar apne
nae qisse nai ghazlen koi tahrir karte hain
jo lafzon aur maani se bahut hai mawara pyare
hai abjad se jo aage wo wafa tafsir karte hain
bahut munh-zor hain dekho nikal jaen na hathon se
chalo uDte hue lamhe yahin zanjir karte hain
hasad ki aag ke shoale jo bhaDkate hain ai logo
jalate hain KHud apni jaan jo ye taqsir karte hain
shikari nafs baiTha hai bichha kar jal har lamha
chala kar tir taqwe ke use naKHchir karte hain
sukut-e-shab ne dikhlae nae tare tamanna ke
unhen aangan mein lane ki koi tadbir karte hain
rupahli sham ho ya hon sawere arghawani se
'shafaq' rangon ke sab manzar mujhe tasKHir karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.