mile bhi dost to is tarz-e-be-dili se mile
mile bhī dost to is tarz-e-be-dilī se mile
ki jaise ajnabī koī ik ajnabī se mile
qadam qadam pe ḳhulūs-e-vafā kā zikr kiyā
adū mile bhī to kis husn-e-sādgī se mile
sitam karo bhī to andāz-e-munsifī se karo
koī salīqa to unvān-e-dostī se mile
tirī talāsh meñ nikle the tere dīvāne
har ek moḌ pe ḳhud apnī zindagī se mile
vo log apnī hī zanjīr-e-pā ke qaidī haiñ
jinheñ nishān-e-safar bhī tirī galī se mile
chalo ki tark-e-ta.alluq kī baat ḳhatm huī
na tum ḳhushī se mile ho na ham ḳhushī se mile
mile bhi dost to is tarz-e-be-dili se mile
ki jaise ajnabi koi ek ajnabi se mile
qadam qadam pe KHulus-e-wafa ka zikr kiya
adu mile bhi to kis husn-e-sadgi se mile
sitam karo bhi to andaz-e-munsifi se karo
koi saliqa to unwan-e-dosti se mile
teri talash mein nikle the tere diwane
har ek moD pe KHud apni zindagi se mile
wo log apni hi zanjir-e-pa ke qaidi hain
jinhen nishan-e-safar bhi teri gali se mile
chalo ki tark-e-talluq ki baat KHatm hui
na tum KHushi se mile ho na hum KHushi se mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.