mile hain aankh ko manzar lahu mein Dube hue
mile haiñ aañkh ko manzar lahū meñ Duube hue
tamām shahr ke patthar lahū meñ Duube hue
zarūr aman ka paiġhām le gayā thā kahīñ
parinda lauTā liye par lahū meñ Duube hue
adālat un ko hī mazlūm kah ke chhoḌ na de
haiñ jin ke haath meñ ḳhanjar lahū meñ Duube hue
palaT jā terī zarūrat hī kyā hai a sailāb
haiñ merī bastī ke sab ghar lahū meñ Duube hue
vo surḳh-rū haiñ vahī sar-bulandī haiñ 'anjum'
saje haiñ nezoñ pe jo sar lahū meñ Duube hue
mile hain aankh ko manzar lahu mein Dube hue
tamam shahr ke patthar lahu mein Dube hue
zarur aman ka paigham le gaya tha kahin
parinda lauTa liye par lahu mein Dube hue
adalat un ko hi mazlum kah ke chhoD na de
hain jin ke hath mein KHanjar lahu mein Dube hue
palaT ja teri zarurat hi kya hai a sailab
hain meri basti ke sab ghar lahu mein Dube hue
wo surKH-ru hain wahi sar-bulandi hain 'anjum'
saje hain nezon pe jo sar lahu mein Dube hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.