mile KHairaat mein pani ka ek qatra nahin lete
mile ḳhairāt meñ paanī kā ik qatra nahīñ lete
ham apnī zid pe aa jaa.eñ to phir dariyā nahīñ lete
kal in hāthoñ se ham ne dirham-o-dīnār bāñTe the
ab in hāthoñ se ham pheñkā huā sikka nahīñ lete
tumhāre zulm kī har ik kahānī yaad rakkhī hai
ye kis ne kah diyā tum se ki ham badlā nahīñ lete
mile KHairaat mein pani ka ek qatra nahin lete
hum apni zid pe aa jaen to phir dariya nahin lete
kal in hathon se hum ne dirham-o-dinar banTe the
ab in hathon se hum phenka hua sikka nahin lete
tumhaare zulm ki har ek kahani yaad rakkhi hai
ye kis ne kah diya tum se ki hum badla nahin lete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.