Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mile kyunkar sukun jab tak ye tanhai nahin jati

Shabbar Jilani Qamri

mile kyunkar sukun jab tak ye tanhai nahin jati

Shabbar Jilani Qamri

MORE BYShabbar Jilani Qamri

    mile kyūñkar sukūñ jab tak ye tanhā.ī nahīñ jaatī

    vo uljhan hai tabī.at meñ ki suljhā.ī nahīñ jaatī

    ye kaisā ḳhauf kyoñ bedād farmā.ī nahīñ jaatī

    ajī bhūlo qayāmat ko abhī aa.ī nahīñ jaatī

    ta.ajjub hai namak-dāñ par namak-dāñ ho chuke ḳhālī

    balā ke zaḳhm-e-dil Thahre ki gahrā.ī nahīñ jaatī

    samajh le to kuchh merī samajh pher hai nāseh

    tujhī se mire matlab samjhā.ī nahīñ jaatī

    jo kuchh biitī shab-e-ġham mujh pe so biitī chalo chhoḌo

    ga.ī guzrī kahānī mujh se dohrā.ī nahīñ jaatī

    rukeñ ashk-e-musalsal chashm-e-pur-nam se are tauba

    ye badlī ḳhud baras paḌtī hai barsā.ī nahīñ jaatī

    mile kyunkar sukun jab tak ye tanhai nahin jati

    wo uljhan hai tabiat mein ki suljhai nahin jati

    ye kaisa KHauf kyon bedad farmai nahin jati

    aji bhulo qayamat ko abhi aai nahin jati

    tajjub hai namak-dan par namak-dan ho chuke KHali

    bala ke zaKHm-e-dil Thahre ki gahrai nahin jati

    samajh le ya to kuchh meri samajh ka pher hai naseh

    tujhi se ya mere matlab ki samjhai nahin jati

    jo kuchh biti shab-e-gham mujh pe so biti chalo chhoDo

    gai guzri kahani mujh se dohrai nahin jati

    ruken ashk-e-musalsal chashm-e-pur-nam se are tauba

    ye badli KHud baras paDti hai barsai nahin jati

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now