mile shauqin baaten ho rahi hain
mile shauqīn bāteñ ho rahī haiñ
baḌī rañgīn bāteñ ho rahī haiñ
mire zaḳhmoñ ko shāyad paḌh liyā hai
tabhī namkīn bāteñ ho rahī haiñ
use bolo ki parde meñ rahe vo
karo talqīn bāteñ ho rahī haiñ
vahāñ do-chār bāteñ aur kar leñ
jahāñ do tiin bāteñ ho rahī haiñ
miyāñ zaḳhmoñ kā uqda khul rahā hai
karo tadfīn bāteñ ho rahī haiñ
mile shauqin baaten ho rahi hain
baDi rangin baaten ho rahi hain
mere zaKHmon ko shayad paDh liya hai
tabhi namkin baaten ho rahi hain
use bolo ki parde mein rahe wo
karo talqin baaten ho rahi hain
wahan do-chaar baaten aur kar len
jahan do tin baaten ho rahi hain
miyan zaKHmon ka uqda khul raha hai
karo tadfin baaten ho rahi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.