mile suragh to manzil ka yun suragh mile
mile suragh to manzil ka yun suragh mile
Hakeem Razi Adeebi Ashrafi
MORE BYHakeem Razi Adeebi Ashrafi
mile surāġh to manzil kā yuuñ surāġh mile
kaf-e-hasīñ pe jalā.e koī charāġh mile
fuzūl dūrī-e-manzil kā zikr hai yaaro
taḌap nahīñ hai to manzil kā kyā surāġh mile
kalī kalī thī fasurda udaas udaas the phuul
gumān jin pe ho jangal kā aise baaġh mile
nibāh kaise dil-e-sāda un se kar paatā
qadam the ḳhaak pe aur arsh par dimāġh mile
ajiib baat hai dil ko na kar sakeñ raushan
mah-o-nujūm sā raushan jinheñ dimāġh mile
lahū nichoḌ deñ rag rag se aur bhar Dāleñ
mai-e-nashāt se ḳhālī agar ayāġh mile
mire liye kisī daulat se kam nahīñ 'rāzī'
ḳhushā-nasīb ki ahbāb hī se daaġh mile
mile suragh to manzil ka yun suragh mile
kaf-e-hasin pe jalae koi charagh mile
fuzul duri-e-manzil ka zikr hai yaro
taDap nahin hai to manzil ka kya suragh mile
kali kali thi fasurda udas udas the phul
guman jin pe ho jangal ka aise bagh mile
nibah kaise dil-e-sada un se kar pata
qadam the KHak pe aur arsh par dimagh mile
ajib baat hai dil ko na kar saken raushan
mah-o-nujum sa raushan jinhen dimagh mile
lahu nichoD den rag rag se aur bhar Dalen
mai-e-nashat se KHali agar ayagh mile
mere liye kisi daulat se kam nahin 'raazi'
KHusha-nasib ki ahbab hi se dagh mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.