milega is ka mujhe kya uTha ke laya hun
milegā is kā mujhe kyā uThā ke laayā huuñ
purāne vaqt kā sikka uThā ke laayā huuñ
tumhārī tishnagī dekhī nahīñ ga.ī mujh se
maiñ apnī ok meñ dariyā uThā ke laayā huuñ
shab-e-siyāh meñ kuchh to mujhe suhūlat ho
kisī kī yaad kā taarā uThā ke laayā huuñ
jo ho sake to zarā muḳhtalif banā ab ke
maiñ qasr-e-zāt kā malba uThā ke laayā huuñ
ye pyaas ilm kī kuchh to bujhā.iye sāhab
baḌe jatan se maiñ basta uThā ke laayā huuñ
havāle dhuup ke jis ne mujhe kiyā ik din
usī ke vāste saaya uThā ke laayā huuñ
tamām ashk sarāboñ meñ Dhal ga.e 'arshad'
shikasta aañkh meñ sahrā uThā ke laayā huuñ
milega is ka mujhe kya uTha ke laya hun
purane waqt ka sikka uTha ke laya hun
tumhaari tishnagi dekhi nahin gai mujh se
main apni ok mein dariya uTha ke laya hun
shab-e-siyah mein kuchh to mujhe suhulat ho
kisi ki yaad ka tara uTha ke laya hun
jo ho sake to zara muKHtalif bana ab ke
main qasr-e-zat ka malba uTha ke laya hun
ye pyas ilm ki kuchh to bujhaiye sahab
baDe jatan se main basta uTha ke laya hun
hawale dhup ke jis ne mujhe kiya ek din
usi ke waste saya uTha ke laya hun
tamam ashk sarabon mein Dhal gae 'arshad'
shikasta aankh mein sahra uTha ke laya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.