mili bhi kya dar-e-daulat se kar-e-ishq ki dad
milī bhī kyā dar-e-daulat se kār-e-ishq kī daad
yahī ki tesha-e-farhād bar-sar-e-farhād
ruḳh-e-numū ko shikāyat faqat ḳhizāñ se nahīñ
bahār meñ bhī huī kisht-e-jism-o-jāñ barbād
davām maañg rahā huuñ guzarte lamhoñ se
hai zindagī se mohabbat hī zindagī kā tazād
zamāne bhar ke ġhamoñ se alag thalag rah kar
sukūñ bahut hai magar hai dil-e-sukūñ barbād
shu.ūr-e-ġham ḳhabar-e-zīst e'tibār-e-vajūd
sazā hai yā ki jazā hai ye ālam-e-ījād
matā.a-e-sher-o-suḳhan bhī jabhī salāmat hai
ki mere log mirī bastiyāñ raheñ ābād
ma.āl-e-kohkan-o-qais dekh kar bhī 'sahar'
chale haiñ kū-e-tamannā ko har che baad ai baad
mili bhi kya dar-e-daulat se kar-e-ishq ki dad
yahi ki tesha-e-farhad bar-sar-e-farhad
ruKH-e-numu ko shikayat faqat KHizan se nahin
bahaar mein bhi hui kisht-e-jism-o-jaan barbaad
dawam mang raha hun guzarte lamhon se
hai zindagi se mohabbat hi zindagi ka tazad
zamane bhar ke ghamon se alag thalag rah kar
sukun bahut hai magar hai dil-e-sukun barbaad
shuur-e-gham KHabar-e-zist e'tibar-e-wajud
saza hai ya ki jaza hai ye aalam-e-ijad
mataa-e-sher-o-suKHan bhi jabhi salamat hai
ki mere log meri bastiyan rahen aabaad
maal-e-kohkan-o-qais dekh kar bhi 'sahar'
chale hain ku-e-tamanna ko har che baad ai baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.