mili dil ki apne KHabar sanam tujhe dil mein jab se basa liya
mili dil ki apne KHabar sanam tujhe dil mein jab se basa liya
Sada Ambalvi
MORE BYSada Ambalvi
milī dil kī apne ḳhabar sanam tujhe dil meñ jab se basā liyā
tirī chaah apnī talāsh thī tujhe pā ke ḳhud ko hai pā liyā
ye hunar hai merī nigāh kā to tufail terī nigāh kā
tujhe maiñ ne apnā banā liyā mujhe tū ne apnā banā liyā
thī hayāt bār-e-garāñ sanam mile dam-ba-dam mujhe ġham hī ġham
tire saath kā thā bas aasrā jo ye baar maiñ ne uThā liyā
sau musībatoñ se ghirā huā maiñ zamīn par thā girā huā
tū utar ke arsh se aa ga.ī mujhe haath de ke uThā liyā
maiñ to ek zard sā phuul thā jo shajar pe bār-e-fuzūl thā
zahe terī zarra-navāziyāñ jo gale se mujh ko lagā liyā
mili dil ki apne KHabar sanam tujhe dil mein jab se basa liya
teri chah apni talash thi tujhe pa ke KHud ko hai pa liya
ye hunar hai meri nigah ka to tufail teri nigah ka
tujhe main ne apna bana liya mujhe tu ne apna bana liya
thi hayat bar-e-garan sanam mile dam-ba-dam mujhe gham hi gham
tere sath ka tha bas aasra jo ye bar main ne uTha liya
sau musibaton se ghira hua main zamin par tha gira hua
tu utar ke arsh se aa gai mujhe hath de ke uTha liya
main to ek zard sa phul tha jo shajar pe bar-e-fuzul tha
zahe teri zarra-nawaziyan jo gale se mujh ko laga liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.