mili hai chhuTTi so tu bhi apnon ko ja milega
milī hai chhuTTī so tū bhī apnoñ ko jā milegā
hamārī āñkhoñ kā kī ḳhair phir jāgnā milegā
na aa.ine se hī ḳhud ye pūchheñ ki aap kyā haiñ
bahut mileñge magar kahāñ aap sā milegā
vo apnā haamī ye kah rahā thā ki terī ḳhātir
jo jañg huī to vo pahlī saf meñ khaḌā milegā
hamārī āñkhoñ se chain le kar tū so sakegā
tū hī batā tujh ko aisā karne se kyā milegā
charāġh-e-saharī sī dil kī hālat milegī tum ko
jo tum miloge to dil hamārā bujhā milegā
hazār rañgoñ kā ek sapnā sajā rahe ho
hazār rātoñ kā tohfatan ratjagā milegā
tumhārī āñkhoñ ke sabz rañgoñ meñ dilkashī hai
maiñ raat jaagā huuñ merī āñkhoñ meñ kyā milegā
hamārā chehrā udāsiyoñ se banā huā hai
hamāre chehre kā rañg aksar uḌā milegā
mili hai chhuTTi so tu bhi apnon ko ja milega
hamari aankhon ka ki KHair phir jagna milega
na aaine se hi KHud ye puchhen ki aap kya hain
bahut milenge magar kahan aap sa milega
wo apna hami ye kah raha tha ki teri KHatir
jo jang hui to wo pahli saf mein khaDa milega
hamari aankhon se chain le kar tu so sakega
tu hi bata tujh ko aisa karne se kya milega
charagh-e-sahari si dil ki haalat milegi tum ko
jo tum miloge to dil hamara bujha milega
hazar rangon ka ek sapna saja rahe ho
hazar raaton ka tohfatan ratjaga milega
tumhaari aankhon ke sabz rangon mein dilkashi hai
main raat jaga hun meri aankhon mein kya milega
hamara chehra udasiyon se bana hua hai
hamare chehre ka rang aksar uDa milega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.