mili hai dard ki neamat nishat-e-jaan ke liye
mili hai dard ki neamat nishat-e-jaan ke liye
Mohammad Arshad Azmi
MORE BYMohammad Arshad Azmi
milī hai dard kī ne.amat nishāt-e-jāñ ke liye
na āh-o-nāla kī ḳhātir na kuchh fuġhāñ ke liye
na kuchh zamīñ ke liye hai na kuchh zamāñ ke liye
na kuchh makīñ ke liye hai na kuchh makāñ ke liye
na ilm-o-fazl kī bāteñ na ilm-o-fazl meñ daḳhl
na kuchh adab ke liye hai na kuchh bayāñ ke liye
hazār tarah ke sāmāñ hayāt-e-fānī meñ
kiye haiñ jam.a kisī ne to phir kahāñ ke liye
shuā-e-barq-o-sharar chun ke ham ne rakkhī hai
nihāl-e-ḳhushk pa tāmīr-e-āshiyāñ ke liye
tumheñ na hai koī nisbat mirī kahānī se
tumhārā naam to hai zeb-e-dāstāñ ke liye
zabāñ pe aa hī gayā jab ki terā nām-e-jamīl
dahān-e-nutq ne bose mirī zabāñ ke liye
nahīñ majāl-e-suḳhan us ke rū-ba-rū 'arshad'
kahāñ se lā.ūñ maiñ tāb-o-tavāñ zabāñ ke liye
mili hai dard ki neamat nishat-e-jaan ke liye
na aah-o-nala ki KHatir na kuchh fughan ke liye
na kuchh zamin ke liye hai na kuchh zaman ke liye
na kuchh makin ke liye hai na kuchh makan ke liye
na ilm-o-fazl ki baaten na ilm-o-fazl mein daKHl
na kuchh adab ke liye hai na kuchh bayan ke liye
hazar tarah ke saman hayat-e-fani mein
kiye hain jama kisi ne to phir kahan ke liye
shua-e-barq-o-sharar chun ke hum ne rakkhi hai
nihaal-e-KHushk pa tamir-e-ashiyan ke liye
tumhein na hai koi nisbat meri kahani se
tumhaara nam to hai zeb-e-dastan ke liye
zaban pe aa hi gaya jab ki tera nam-e-jamil
dahan-e-nutq ne bose meri zaban ke liye
nahin majal-e-suKHan us ke ru-ba-ru 'arshad'
kahan se laun main tab-o-tawan zaban ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.