mili hai pyar ki KHushbu jo mere aangan mein
milī hai pyaar kī ḳhushbū jo mere āñgan meñ
sabā ne jā ke ye qisse kahe haiñ gulshan meñ
chhalak rahā hai basantī ḳhumār āñkhoñ se
kabhī jo dekh liyā maiñ ne un ko chilman meñ
sabā jo chhū ke chalī hai kisī ke aariz ko
bahār ḳhud hī larazne lagī hai gulshan meñ
shafaq laboñ pe yahāñ hai vahāñ bahār aa.ī
'nasīm' jaane kahāñ paḌ ga.ī hai uljhan meñ
mile laboñ ke ujāle to gesuoñ kī mahak
ḳhirām-e-nik.hat-e-gul meñ sabā kī dhaḌkan meñ
nigāh-e-dil kā taqāza yahī to hai 'anvar'
gire jo ashk vo ban jaa.e phuul dāman meñ
mili hai pyar ki KHushbu jo mere aangan mein
saba ne ja ke ye qisse kahe hain gulshan mein
chhalak raha hai basanti KHumar aankhon se
kabhi jo dekh liya main ne un ko chilman mein
saba jo chhu ke chali hai kisi ke aariz ko
bahaar KHud hi larazne lagi hai gulshan mein
shafaq labon pe yahan hai wahan bahaar aai
'nasim' jaane kahan paD gai hai uljhan mein
mile labon ke ujale to gesuon ki mahak
KHiram-e-nikhat-e-gul mein saba ki dhaDkan mein
nigah-e-dil ka taqaza yahi to hai 'anwar'
gire jo ashk wo ban jae phul daman mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.