mili hai rahat hamein safar se
milī hai rāhat hameñ safar se
thakan to le kar chale the ghar se
abhī palak par palak na baiThī
ye ḳhvāb aane lage kidhar se
falak pe kuchh der chāñd Thahrā
vidā.a lete hue sahar se
tavīl novel meñ zindagī ke
tamām qisse haiñ muḳhtasar se
vo dekhte dekhte hī ik din
utar gayā thā mirī nazar se
usī galī meñ nahīñ ga.e bas
guzar ga.e ham idhar udhar se
guzar-basar kī hai koī sūrat?
ye sirf hogī guzar-basar se
dhueñ se 'ātish' jaleñgī āñkheñ
jale nahīñ ham is ek Dar se
mili hai rahat hamein safar se
thakan to le kar chale the ghar se
abhi palak par palak na baiThi
ye KHwab aane lage kidhar se
falak pe kuchh der chand Thahra
widaa lete hue sahar se
tawil nowel mein zindagi ke
tamam qisse hain muKHtasar se
wo dekhte dekhte hi ek din
utar gaya tha meri nazar se
usi gali mein nahin gae bas
guzar gae hum idhar udhar se
guzar-basar ki hai koi surat?
ye sirf hogi guzar-basar se
dhuen se 'atish' jalengi aankhen
jale nahin hum is ek Dar se
- Book : Chand Dinner per Baitha Hai (Pg. 100)
- Author : Swapnil Tiwari
- Publication : Anybook, Gurgaon (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.