mili hum ko rahat musibat ke baad
milī ham ko rāhat musībat ke baad
ye din haath aaya hai muddat ke baad
musībat nahīñ uThtī rāhat ke baad
qayāmat hai iflās sarvat ke baad
maiñ kahtā huuñ chupke se ab pher do
mirā dil mujhe tum ḳhayānat ke baad
hai saaqī ko shāyad ki ḳhauf-e-ḳhudā
pilātā hai zāhid ko hujjat ke baad
bakheḌe haiñ sau zindagī meñ to kyā
marāhil hazāroñ haiñ rehlat ke baad
rulāyā rulā kar hañsāyā mujhe
ye shoḳhī to dekho sharārat ke baad
shab-e-hijr kahtā hai roz-e-firāq
phir ik hashr hai is qayāmat ke baad
duā hai mirī dil se ye dam-ba-dam
na ho sub.h-e-ġham shām-e-ishrat ke baad
zamāne ne jo kuchh diyā le liyā
milīñ talḳhiyāñ bhī halāvat ke baad
ye qismat kahāñ ye muqaddar kahāñ
ki phir roz-e-vasl aa.e furqat ke baad
hai 'mas.ūd' pesh-e-nazar roz-e-hijr
uThānā paḌā ranj rāhat ke baad
mili hum ko rahat musibat ke baad
ye din hath aaya hai muddat ke baad
musibat nahin uThti rahat ke baad
qayamat hai iflas sarwat ke baad
main kahta hun chupke se ab pher do
mera dil mujhe tum KHayanat ke baad
hai saqi ko shayad ki KHauf-e-KHuda
pilata hai zahid ko hujjat ke baad
bakheDe hain sau zindagi mein to kya
marahil hazaron hain rehlat ke baad
rulaya rula kar hansaya mujhe
ye shoKHi to dekho shararat ke baad
shab-e-hijr kahta hai roz-e-firaq
phir ek hashr hai is qayamat ke baad
dua hai meri dil se ye dam-ba-dam
na ho subh-e-gham sham-e-ishrat ke baad
zamane ne jo kuchh diya le liya
milin talKHiyan bhi halawat ke baad
ye qismat kahan ye muqaddar kahan
ki phir roz-e-wasl aae furqat ke baad
hai 'masud' pesh-e-nazar roz-e-hijr
uThana paDa ranj rahat ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.