mili hawaon mein uDne ki wo saza yaro
milī havāoñ meñ uḌne kī vo sazā yaaro
ki maiñ zamīn ke rishtoñ se kaT gayā yaaro
vo be-ḳhayāl musāfir meñ rāsta yaaro
kahāñ thā bas meñ mire us ko roknā yaaro
mire qalam pe zamāne kī gard aisī thī
ki apne baare meñ kuchh bhī na likh sakā yaaro
tamām shahr hī jis kī talāsh meñ gum thā
maiñ us ke ghar kā pata kis se pūchhtā yaaro
jo be-shumār diloñ kī nazar meñ rahtā thā
vo apne bachchoñ ko ik ghar na de sakā yaaro
janāb-e-'mīr' kī ḳhud-ġharziyoñ ke sadqe meñ
miyāñ 'vasīm' ke kahne ko kyā bachā yaaro
mili hawaon mein uDne ki wo saza yaro
ki main zamin ke rishton se kaT gaya yaro
wo be-KHayal musafir mein rasta yaro
kahan tha bas mein mere us ko rokna yaro
mere qalam pe zamane ki gard aisi thi
ki apne bare mein kuchh bhi na likh saka yaro
tamam shahr hi jis ki talash mein gum tha
main us ke ghar ka pata kis se puchhta yaro
jo be-shumar dilon ki nazar mein rahta tha
wo apne bachchon ko ek ghar na de saka yaro
janab-e-'mir' ki KHud-gharziyon ke sadqe mein
miyan 'wasim' ke kahne ko kya bacha yaro
- Book : Mera Kiya (Pg. 100)
- Author : Waseem Barelvi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.