mili KHak mein mohabbat jala dil ka aashiyana
milī ḳhaak meñ mohabbat jalā dil kā āshiyāna
jo thī aaj tak haqīqat vahī ban ga.ī fasāna
ye bahār kaisī aa.ī jo ḳhizāñ bhī saath laa.ī
maiñ kahāñ rahūñ chaman meñ mirā luT gayā Thikāna
mujhe rāsta dikhā kar mire kārvāñ ko luuTā
idhar aa gale lagā luuñ tujhe gardish-e-zamāna
mili KHak mein mohabbat jala dil ka aashiyana
jo thi aaj tak haqiqat wahi ban gai fasana
ye bahaar kaisi aai jo KHizan bhi sath lai
main kahan rahun chaman mein mera luT gaya Thikana
mujhe rasta dikha kar mere karwan ko luTa
idhar aa gale laga lun tujhe gardish-e-zamana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.