mili kya KHak rahat kunj-e-marqad mein nihan ho kar
milī kyā ḳhaak rāhat kunj-e-marqad meñ nihāñ ho kar
zamīn-e-gor sar par phir rahī hai āsmāñ ho kar
chhurī gardan pe qātil phertā hai shādmāñ ho kar
nikaltā hai mirā dam ārzū-e-dushmanāñ ho kar
hamāre qatl karne kā na thā us shoḳh kā manshā
ubhārā teġh aur ḳhanjar ne kaisā ham-zabāñ ho kar
uḌā le chal havā-e-shauq aage sab se manzil par
rahā jaatā huuñ pīchhe maiñ to gard-e-kārvāñ ho kar
faqīr-e-mast vo huuñ maiñ agar kuchh mauj aa jaa.e
abhī mai-ḳhāna se kashtī-e-mai aa.e ravāñ ho kar
ayaañ āsār haiñ ye āmad-e-fasl-e-bahārī ke
garebāñ aa rahā dāman meñ mere dhajjiyāñ ho kar
mili kya KHak rahat kunj-e-marqad mein nihan ho kar
zamin-e-gor sar par phir rahi hai aasman ho kar
chhuri gardan pe qatil pherta hai shadman ho kar
nikalta hai mera dam aarzu-e-dushmanan ho kar
hamare qatl karne ka na tha us shoKH ka mansha
ubhaara tegh aur KHanjar ne kaisa ham-zaban ho kar
uDa le chal hawa-e-shauq aage sab se manzil par
raha jata hun pichhe main to gard-e-karwan ho kar
faqir-e-mast wo hun main agar kuchh mauj aa jae
abhi mai-KHana se kashti-e-mai aae rawan ho kar
ayan aasar hain ye aamad-e-fasl-e-bahaari ke
gareban aa raha daman mein mere dhajjiyan ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.