mili na fursat jahan ho ghash se uThi jo kuchh bhi naqab-e-ariz
mili na fursat jahan ho ghash se uThi jo kuchh bhi naqab-e-ariz
Qurban Ali Salik Beg
MORE BYQurban Ali Salik Beg
milī na fursat jahāñ ho ġhash se uThī jo kuchh bhī naqāb-e-āriz
magar samajhte nahīñ abhī tak tum apnā jalva hijāb-e-āriz
na dasht-e-aiman meñ zikr us kā na tuur hī par kabhī ye chamkā
na ho nazar meñ jo terā jalva to mehr ko duuñ ḳhitāb-e-āriz
tasavvur un kā hai mujh ko har-dam na shab ko taskīñ na chain din ko
hoī haiñ auqāt mere bilkul tabāh kākul ḳharāb-e-āriz
ḳhushī kī kasrat agar ho un ko to ban ke āñkhoñ meñ aa.eñ aañsū
ziyāda yaañ tak haiñ apnī had se na Thahre aariz meñ āb-e-āriz
ye rañg-e-bazm-e-adū to dekho ki laakh parde kiye haiñ haa.il
naqāb uThā.e vo go haiñ baiThe magar hai ġhairat hijāb-e-āriz
ilāhī merī jigar-fagārī raqīb sun kar unheñ sunā deñ
vo maslahat hī samajh ke aa.eñ dikhāne ko māhtāb-e-āriz
nazar fazā hai jahāñ hai jalva tumhārā ehsān sab pe hogā
uThāo aariz se tum jo parda to ghaT na jā.egī tāb-e-āriz
ye naam jis kā qamar rakhā hai mujhī se ik daaġh le gayā hai
samajh to dekho samajh rahā hai falak usī ko javāb-e-āriz
kahīñ ilāhī shab-e-judā.ī tamām hone ko aa ga.ī hai
numūd-e-sub.h-e-jazā ho shāyad ki maiñ ne dekhā hai ḳhvāb-e-āriz
huī ye hāl-e-zabūñ kī shohrat ki us ne ḳhajlat se muñh chhupāyā
banā hai rañg-e-shikasta merā bahut dinoñ meñ naqāb-e-āriz
na pūchho ham se ki kyā sabab hai siyāh rozī kā apnī 'sālik'
chamak rahā hai bahut dinoñ se adū pe vo āftāb-e-āriz
mili na fursat jahan ho ghash se uThi jo kuchh bhi naqab-e-ariz
magar samajhte nahin abhi tak tum apna jalwa hijab-e-ariz
na dasht-e-aiman mein zikr us ka na tur hi par kabhi ye chamka
na ho nazar mein jo tera jalwa to mehr ko dun KHitab-e-ariz
tasawwur un ka hai mujh ko har-dam na shab ko taskin na chain din ko
hoi hain auqat mere bilkul tabah kakul KHarab-e-ariz
KHushi ki kasrat agar ho un ko to ban ke aankhon mein aaen aansu
ziyaada yan tak hain apni had se na Thahre aariz mein aab-e-ariz
ye rang-e-bazm-e-adu to dekho ki lakh parde kiye hain hail
naqab uThae wo go hain baiThe magar hai ghairat hijab-e-ariz
ilahi meri jigar-fagari raqib sun kar unhen suna den
wo maslahat hi samajh ke aaen dikhane ko mahtab-e-ariz
nazar faza hai jahan hai jalwa tumhaara ehsan sab pe hoga
uThao aariz se tum jo parda to ghaT na jaegi tab-e-ariz
ye nam jis ka qamar rakha hai mujhi se ek dagh le gaya hai
samajh to dekho samajh raha hai falak usi ko jawab-e-ariz
kahin ilahi shab-e-judai tamam hone ko aa gai hai
numud-e-subh-e-jaza ho shayad ki main ne dekha hai KHwab-e-ariz
hui ye haal-e-zabun ki shohrat ki us ne KHajlat se munh chhupaya
bana hai rang-e-shikasta mera bahut dinon mein naqab-e-ariz
na puchho hum se ki kya sabab hai siyah rozi ka apni 'salik'
chamak raha hai bahut dinon se adu pe wo aaftab-e-ariz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.