mili rah wo ki farar ka na pata chala
milī raah vo ki farār kā na pata chalā
uḌā sañg se to sharār kā na pata chalā
jo khiñche khiñche mujhe lag rahe the yahāñ vahāñ
kisī ek aise hisār kā na pata chalā
rahā jaate jaate na dekh sakne kā ġham hameñ
vo ġhubār uThā ki savār kā na pata chalā
rahī hijr meñ jo ik ek pal kī ḳhabar mujhe
to visāl meñ shab-e-tār kā na pata chalā
ka.ī mausamoñ se talāsh meñ hai mirī nazar
kisī gulsitāñ se bahār kā na pata chalā
mili rah wo ki farar ka na pata chala
uDa sang se to sharar ka na pata chala
jo khinche khinche mujhe lag rahe the yahan wahan
kisi ek aise hisar ka na pata chala
raha jate jate na dekh sakne ka gham hamein
wo ghubar uTha ki sawar ka na pata chala
rahi hijr mein jo ek ek pal ki KHabar mujhe
to visal mein shab-e-tar ka na pata chala
kai mausamon se talash mein hai meri nazar
kisi gulsitan se bahaar ka na pata chala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.