Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

milin hongi jafaen aur gham-e-furqat mila hoga

Ritu Singh Rajput Rit

milin hongi jafaen aur gham-e-furqat mila hoga

Ritu Singh Rajput Rit

MORE BYRitu Singh Rajput Rit

    milīñ hoñgī jafā.eñ aur ġham-e-furqat milā hogā

    mohabbat se bharā vo dil tabhī patthar huā hogā

    mohabbat aag hai aisī agar ik baar lag jaa.e

    bujhāo laakh tum chāhe dhuāñ is sila hogā

    charāġh-e-ishq to us ne jalāyā thā mirī ḳhātir

    magar maiñ nahīñ to raushnī kyā huā hogā

    bahāyā naam par jis ke mirī āñkhoñ ne har aañsū

    kabhī kyā naam bhī us shaḳhs ne merā liyā hogā

    are chhoḌo mujhe bhī hai yaqīñ apnī mohabbat par

    yaqīnan is na.ī laḌkī ne Tonā kyā hogā

    ki us phone to ab roz engage jaatā hai

    batāo kab talak bolūñ mujhe dhokā huā hogā

    virah ke chaar din meñ 'rīt' to mar ga.ī jaise

    to jīvan bhar virah rādhā ne phir kaise sahā hogā

    milin hongi jafaen aur gham-e-furqat mila hoga

    mohabbat se bhara wo dil tabhi patthar hua hoga

    mohabbat aag hai aisi agar ek bar lag jae

    bujhao lakh tum chahe dhuan is ka sila hoga

    charagh-e-ishq to us ne jalaya tha meri KHatir

    magar main hi nahin to raushni ka kya hua hoga

    bahaya nam par jis ke meri aankhon ne har aansu

    kabhi kya nam bhi us shaKHs ne mera liya hoga

    are chhoDo mujhe bhi hai yaqin apni mohabbat par

    yaqinan is nai laDki ne Tona hi kya hoga

    ki us ka phone to ab roz hi engage jata hai

    batao kab talak bolun mujhe dhoka hua hoga

    wirah ke chaar din mein 'rit' to mar hi gai jaise

    to jiwan bhar wirah radha ne phir kaise saha hoga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now