milna ek bahana hoga
milnā ek bahāna hogā
phir koī zaḳhm lagānā hogā
soch rahī huuñ sīdhā rasta
kis kis ko dikhlānā hogā
is meñ aañsū bhī haiñ shāmil
bādal ko jatlānā hogā
jis meñ thoḌī himmat hogī
us ke saath zamāna hogā
terī sangat meñ jo guzrā
lamha vahī suhānā hogā
'sadaf' jahāñ bhī kirneñ hoñgī
apnā vahīñ Thikānā hogā
milna ek bahana hoga
phir koi zaKHm lagana hoga
soch rahi hun sidha rasta
kis kis ko dikhlana hoga
is mein aansu bhi hain shamil
baadal ko jatlana hoga
jis mein thoDi himmat hogi
us ke sath zamana hoga
teri sangat mein jo guzra
lamha wahi suhana hoga
'sadaf' jahan bhi kirnen hongi
apna wahin Thikana hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.