milna hamara kam hua phir baat kam hui
milnā hamārā kam huā phir baat kam huī
qistoñ meñ mujh ġharīb kī ḳhairāt kam huī
yūñhī na ham udaas hue ek roz meñ
aamad tumhāre ḳhvāb kī har raat kam huī
jis din se ḳhud ko bhiiḌ kā hissa banā liyā
us din se merī ḳhud se mulāqāt kam huī
ik aarzū kī bel lagā.ī thī is baras
aur is baras hī jaane kyoñ barsāt kam huī
har-vaqt chāñd taare to rahte haiñ saath par
rātoñ ke man kī tīrgī kis raat kam huī
milna hamara kam hua phir baat kam hui
qiston mein mujh gharib ki KHairaat kam hui
yunhi na hum udas hue ek roz mein
aamad tumhaare KHwab ki har raat kam hui
jis din se KHud ko bhiD ka hissa bana liya
us din se meri KHud se mulaqat kam hui
ek aarzu ki bel lagai thi is baras
aur is baras hi jaane kyon barsat kam hui
har-waqt chand tare to rahte hain sath par
raaton ke man ki tirgi kis raat kam hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.