milna na milna ek bahana hai aur bas
milnā na milnā ek bahāna hai aur bas
tum sach ho baaqī jo hai fasāna hai aur bas
logoñ ko rāste kī zarūrat hai aur mujhe
ik sañg-e-rahguzar ko haTānā hai aur bas
masrūfiyat ziyāda nahīñ hai mirī yahāñ
miTTī se ik charāġh banānā hai aur bas
so.e hue to jaag hī jā.eñge ek din
jo jāgte haiñ un ko jagānā hai aur bas
tum vo nahīñ ho jin se vafā kī umiid hai
tum se mirī murād zamāna hai aur bas
phūloñ ko DhūñDtā huā phirtā huuñ baaġh meñ
bād-e-sabā ko kaam dilānā hai aur bas
aab o havā to yuuñ bhī mirā mas.ala nahīñ
mujh ko to ik daraḳht lagānā hai aur bas
nīñdoñ kā rat-jagoñ se ulajhnā yūñhī nahīñ
ik ḳhvāb-e-rā.egāñ ko bachānā hai aur bas
ik vā'da jo kiyā hī nahīñ hai abhī 'salīm'
mujh ko vahī to vā'da nibhānā hai aur bas
milna na milna ek bahana hai aur bas
tum sach ho baqi jo hai fasana hai aur bas
logon ko raste ki zarurat hai aur mujhe
ek sang-e-rahguzar ko haTana hai aur bas
masrufiyat ziyaada nahin hai meri yahan
miTTi se ek charagh banana hai aur bas
soe hue to jag hi jaenge ek din
jo jagte hain un ko jagana hai aur bas
tum wo nahin ho jin se wafa ki umid hai
tum se meri murad zamana hai aur bas
phulon ko DhunDta hua phirta hun bagh mein
baad-e-saba ko kaam dilana hai aur bas
aab o hawa to yun bhi mera masala nahin
mujh ko to ek daraKHt lagana hai aur bas
nindon ka rat-jagon se ulajhna yunhi nahin
ek KHwab-e-raegan ko bachana hai aur bas
ek wa'da jo kiya hi nahin hai abhi 'salim'
mujh ko wahi to wa'da nibhana hai aur bas
- Book : duniya aarzoo se kam hai (Pg. 57)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.