milne ki tarah humse wo ab tak kahan mile
milne kī tarah ham se vo ab tak kahāñ mile
kam-kam mile kashīda mile bad-gumāñ mile
ai kaash zindagī ko vo jazb-e-nihāñ mile
dekhe mujhe koī to tumhārā nishāñ mile
kis hausle se ham ne basar kī hai zindagī
tūfāñ se bhī mile to ba-azm-e-javāñ mile
nabz-e-chaman pe baad meñ rakkheñge uñgliyāñ
pahle tirā mizāj to ai bāġhbāñ mile
rāhat kī saañs rahzan-e-zauq-e-safar huī
lamhe masarratoñ ke ġhamoñ se girāñ mile
jab sohbat-e-chaman se hī dil apnā bujh gayā
karnā hai kyā bahār mile yā ḳhizāñ mile
kyā jaane kyoñ kisī se dil apnā na mil sakā
milne ke vāste to ka.ī mehrbāñ mile
dariyā lahū kā shahr kī galiyoñ meñ thā ravāñ
aḳhbār meñ likhe hue amn-o-amāñ mile
vo pesh-pesh the jinheñ hosh-e-safar na thā
jo manzil-āshnā the pas-e-kārvāñ mile
har ġham se mustaqil hai ta.alluq hayāt kā
dekheñ kahāñ se silsila-e-dāstāñ mile
phūloñ ko lab-kushā.ī kā haq hai chaman meñ 'shauq'
zaḳhmoñ ko kam se kam kabhī izn-e-bayāñ mile
milne ki tarah hum se wo ab tak kahan mile
kam-kam mile kashida mile bad-guman mile
ai kash zindagi ko wo jazb-e-nihan mile
dekhe mujhe koi to tumhaara nishan mile
kis hausle se hum ne basar ki hai zindagi
tufan se bhi mile to ba-azm-e-jawan mile
nabz-e-chaman pe baad mein rakkhenge ungliyan
pahle tera mizaj to ai baghban mile
rahat ki sans rahzan-e-zauq-e-safar hui
lamhe masarraton ke ghamon se giran mile
jab sohbat-e-chaman se hi dil apna bujh gaya
karna hai kya bahaar mile ya KHizan mile
kya jaane kyon kisi se dil apna na mil saka
milne ke waste to kai mehrban mile
dariya lahu ka shahr ki galiyon mein tha rawan
aKHbar mein likhe hue amn-o-aman mile
wo pesh-pesh the jinhen hosh-e-safar na tha
jo manzil-ashna the pas-e-karwan mile
har gham se mustaqil hai talluq hayat ka
dekhen kahan se silsila-e-dastan mile
phulon ko lab-kushai ka haq hai chaman mein 'shauq'
zaKHmon ko kam se kam kabhi izn-e-bayan mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.