Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

milne ko tujhse dil to mera be-qarar hai

Asifud Daula

milne ko tujhse dil to mera be-qarar hai

Asifud Daula

MORE BYAsifud Daula

    milne ko tujh se dil to mirā be-qarār hai

    aa ke mil na mil ye tirā iḳhtiyār hai

    jis jis ke paas dosto jis jis yaar hai

    behtar chaman se ghar meñ isī ke bahār hai

    tum zaḳhm-e-dil mere ḳhabar pūchhte ho kyā

    tīr-e-nigāh dil ke to ab vār-pār hai

    gar dushmanī pe dost ne bāñdhī mire kamar

    dushman hai ab jo koī mirā dost-dār hai

    lagtī nahīñ palak se mirī ab zarā palak

    aane is ke jab se mujhe intizār hai

    ai shahsavār us ko bhī kar le ab shikār

    ye said-e-dil bhī umr se ummīd-vār hai

    ye kuchh to haal tere divāne ab huā

    jīdhar ko jaave aah use maar maar hai

    ai gul tujhe aziiz huuñ rakhtā maiñ is liye

    yaanī ki tujh meñ ek ramaq bū-e-yār hai

    ye kis ke dil ko chhīn ke karte haiñ pā.emāl

    in zālimoñ aah yahī kārobār hai

    'āsif' ḳhudā ke vāste mat de butoñ ko dil

    ye vo haiñ jin ke qaul kyā e'tibār hai

    milne ko tujh se dil to mera be-qarar hai

    tu aa ke mil na mil ye tera iKHtiyar hai

    jis jis ke pas dosto jis jis ka yar hai

    behtar chaman se ghar mein isi ke bahaar hai

    tum zaKHm-e-dil ki mere KHabar puchhte ho kya

    tir-e-nigah dil ke to ab war-par hai

    gar dushmani pe dost ne bandhi mere kamar

    dushman hai ab jo koi mera dost-dar hai

    lagti nahin palak se meri ab zara palak

    aane ka is ke jab se mujhe intizar hai

    ai shahsawar us ko bhi kar le tu ab shikar

    ye said-e-dil bhi umr se ummid-war hai

    ye kuchh to haal tere diwane ka ab hua

    jidhar ko jawe aah use mar mar hai

    ai gul tujhe aziz hun rakhta main is liye

    yani ki tujh mein ek ramaq bu-e-yar hai

    ye kis ke dil ko chhin ke karte hain paemal

    in zalimon ka aah yahi karobar hai

    'asif' KHuda ke waste mat de buton ko dil

    ye wo hain jin ke qaul ka kya e'tibar hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now