milne wale kahan kahan se mile
milne vaale kahāñ kahāñ se mile
maut ko zindagī jahāñ se mile
aisā ḳhush-rang phuul hai ik tū
terā saanī nā gulsitāñ se mile
Duub jā 'ishq ke samundar meñ
rāste dil ke to vahāñ se mile
tū ḳhulūs-o-adab kā paikar hai
ab du'ā tujh ko har zabāñ se mile
baab sat-rañgī tujh ko de aa.ī
rañg jab terā āsmāñ se mile
bhuul baiThā hai vo hameñ lekin
yaad us kī to har fuġhāñ se mile
kal use shak thā 'renū' manzil kā
aaj har shaḳhs kārvāñ se mile
milne wale kahan kahan se mile
maut ko zindagi jahan se mile
aisa KHush-rang phul hai ek tu
tera sani na gulsitan se mile
Dub ja 'ishq ke samundar mein
raste dil ke to wahan se mile
tu KHulus-o-adab ka paikar hai
ab du'a tujh ko har zaban se mile
bab sat-rangi tujh ko de aai
rang jab tera aasman se mile
bhul baiTha hai wo hamein lekin
yaad us ki to har fughan se mile
kal use shak tha 'renu' manzil ka
aaj har shaKHs karwan se mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.