milo ki baad mein shayad ye silsila na rahe
milo ki baad meñ shāyad ye silsila na rahe
ye rang-o-gul na raheñ sohbat-e-sabā na rahe
qarīb-tar hai vo ahd-e-ziyāñ-nasīb ki jab
bashar bashar na rahe aur ḳhudā ḳhudā na rahe
vahāñ bhī raah bujhātī hai apne lafz kī lau
charāġh-e-chashm jahāñ gul ho rāsta na rahe
safar meñ chand marāhil kaḌe paḌe haiñ to kyā
hameñ junūñ thā ki rasta bujhā bujhā na rahe
hamāre naam pe ghūñghaT uThā nigār-e-salīb
hamāre sar pe tirā koī bhī gila na rahe
milo ki baad mein shayad ye silsila na rahe
ye rang-o-gul na rahen sohbat-e-saba na rahe
qarib-tar hai wo ahd-e-ziyan-nasib ki jab
bashar bashar na rahe aur KHuda KHuda na rahe
wahan bhi rah bujhati hai apne lafz ki lau
charagh-e-chashm jahan gul ho rasta na rahe
safar mein chand marahil kaDe paDe hain to kya
hamein junun tha ki rasta bujha bujha na rahe
hamare nam pe ghunghaT uTha nigar-e-salib
hamare sar pe tera koi bhi gila na rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.