Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

milta jo koi TukDa is charKH-e-zabarjad mein

Saqib Lakhnavi

milta jo koi TukDa is charKH-e-zabarjad mein

Saqib Lakhnavi

MORE BYSaqib Lakhnavi

    miltā jo koī TukḌā is charḳh-e-zabarjad meñ

    paivand lagā detā maiñ nafs-e-mujarrad meñ

    bedāri-e-furqat meñ thā ramz qayāmat

    jaagā huuñ ki niiñd aa.e tārīki-e-marqad meñ

    is daftar-e-hastī meñ tā'līm bahut kam hai

    do harf nazar aa.e dībācha-e-abjad meñ

    go ḳhaak putlā huuñ lekin koī kyā samjhe

    maiñ bhī koī shai huuñ jo gardūñ hai mirī kad meñ

    hai zabt farmā.ish is dil se bahut bejā

    ye qulzum-e-lā-sāhil kis tarah rahe had meñ

    pahlū meñ nahīñ dil to dil-soz aa jaatā

    ik sham' to jal jaatī tārīki-e-marqad meñ

    nāloñ se ye kahtā huuñ himmat se na dil hāreñ

    tāroñ ne jagah kar is lauh-e-zamurrad meñ

    milta jo koi TukDa is charKH-e-zabarjad mein

    paiwand laga deta main nafs-e-mujarrad mein

    bedari-e-furqat mein tha ramz qayamat ka

    jaga hun ki nind aae tariki-e-marqad mein

    is daftar-e-hasti mein ta'lim bahut kam hai

    do harf nazar aae dibacha-e-abjad mein

    go KHak ka putla hun lekin koi kya samjhe

    main bhi koi shai hun jo gardun hai meri kad mein

    hai zabt ki farmaish is dil se bahut beja

    ye qulzum-e-la-sahil kis tarah rahe had mein

    pahlu mein nahin dil to dil-soz hi aa jata

    ek sham' to jal jati tariki-e-marqad mein

    nalon se ye kahta hun himmat se na dil haaren

    taron ne jagah kar li is lauh-e-zamurrad mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now