milta nahin koi bhi KHaridar ishq mein
Interesting Fact
March 1961
miltā nahīñ koī bhī ḳharīdār ishq meñ
rusvā hue haiñ bar-sar-e-bāzār ishq meñ
manzil milī na marhala-e-dil hī tai huā
dasht-e-junūñ ko jāniye dīvār-e-ishq meñ
us nāfa-e-nigāh se pāgal hue to kyā
zanjīr hai ye dard kā āzād ishq meñ
ab tak tire ḳhayāl se namnāk hai ye aañkh
sarf is qadar huā huuñ gunahgār ishq meñ
fariyād kar rahā huuñ judā.ī ke dasht meñ
koī nahīñ sharīk-e-ġham-e-yār ishq meñ
maiñ kunj-e-āfiyat meñ rahā umr-bhar magar
ḳhud se huā huuñ bar-sar-e-paikār ishq meñ
haath aa ga.ī kalīd-e-tilism-e-nigāh kyā
khulne lage haiñ husn ke asrār-e-ishq meñ
hairāniyoñ ke zaḳhm kā marham kahāñ 'nadīm'
dil sehr-e-dard se huā bedār ishq meñ
milta nahin koi bhi KHaridar ishq mein
ruswa hue hain bar-sar-e-bazar ishq mein
manzil mili na marhala-e-dil hi tai hua
dasht-e-junun ko jaaniye diwar-e-ishq mein
us nafa-e-nigah se pagal hue to kya
zanjir hai ye dard ka aazad ishq mein
ab tak tere KHayal se namnak hai ye aankh
sarf is qadar hua hun gunahgar ishq mein
fariyaad kar raha hun judai ke dasht mein
koi nahin sharik-e-gham-e-yar ishq mein
main kunj-e-afiyat mein raha umr-bhar magar
KHud se hua hun bar-sar-e-paikar ishq mein
hath aa gai kalid-e-tilism-e-nigah kya
khulne lage hain husn ke asrar-e-ishq mein
hairaniyon ke zaKHm ka marham kahan 'nadim'
dil sehr-e-dard se hua bedar ishq mein
- Book : Shola-e-Khushboo (Pg. 165)
- Author : Salahuddin Nadeem
- Publication : Raheel Salahuddin (1984)
- Edition : 1984
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.