milte hain shahr-e-yar mein manzar gulab ke
milte haiñ shahr-e-yār meñ manzar gulāb ke
sab sā.ebāñ gulāb ke sab dar gulāb ke
jab āftāb ḳhuuñ meñ nahāyā zavāl par
bādal lahū-lahū the ki lashkar gulāb ke
saayā kisī kā sehn-e-chaman par bikhar gayā
aur ban rahe haiñ baaġh meñ paikar gulāb ke
koī to rang-e-ātish-e-lab ko badal gayā
pahle the un ke hoñT barābar gulāb ke
yāqūt thā sharar the lahū thā ki āb-e-surḳh
āñkheñ thiiñ un kī yā ki the sāġhar gulāb ke
bhañvaroñ se pūchhe koī bhalā ras ko chhoḌ kar
kyā DhūñDte haiñ jaane vo andar gulāb ke
bulbul se koī kah de chaman meñ ki in dinoñ
'amrit' bhī ho ga.e haiñ suḳhanvar gulāb ke
milte hain shahr-e-yar mein manzar gulab ke
sab saeban gulab ke sab dar gulab ke
jab aaftab KHun mein nahaya zawal par
baadal lahu-lahu the ki lashkar gulab ke
saya kisi ka sehn-e-chaman par bikhar gaya
aur ban rahe hain bagh mein paikar gulab ke
koi to rang-e-atish-e-lab ko badal gaya
pahle the un ke honT barabar gulab ke
yaqut tha sharar the lahu tha ki aab-e-surKH
aankhen thin un ki ya ki the saghar gulab ke
bhanwaron se puchhe koi bhala ras ko chhoD kar
kya DhunDte hain jaane wo andar gulab ke
bulbul se koi kah de chaman mein ki in dinon
'amrit' bhi ho gae hain suKHanwar gulab ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.