milte hi bebak thi wo aankh sharmai hui
milte hī bebāk thī vo aañkh sharmā.ī huī
phir ga.ī pachhtā ke palkoñ tak hayā aa.ī huī
har adā mastāna sar se paañv tak chhā.ī huī
uf tirī kāfir javānī josh par aa.ī huī
mujh ko ye da.avā koī tere sivā dil meñ nahīñ
us kā ye ilzām achchhī qaid-e-tanhā.ī huī
bhole ban kar un ke muñh se sun liyā hāl-e-raqīb
umr-bhar meñ ek hī to ham se dānā.ī huī
bosa le kar jaan Daalī ġhair kī tasvīr meñ
ye nayā e.ajāz ye achchhī masīhā.ī huī
dekh kar qātil kī aamad 'dāġh' dil meñ shaad shaad
aur ġham-ḳhvāroñ ke muñh par murdanī chhā.ī huī
milte hi bebak thi wo aankh sharmai hui
phir gai pachhta ke palkon tak haya aai hui
har ada mastana sar se panw tak chhai hui
uf teri kafir jawani josh par aai hui
mujh ko ye dawa koi tere siwa dil mein nahin
us ka ye ilzam achchhi qaid-e-tanhai hui
bhole ban kar un ke munh se sun liya haal-e-raqib
umr-bhar mein ek hi to hum se danai hui
bosa le kar jaan Dali ghair ki taswir mein
ye naya eajaz ye achchhi masihai hui
dekh kar qatil ki aamad 'dagh' dil mein shad shad
aur gham-KHwaron ke munh par murdani chhai hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.