milte nahin hain jab hamein gham-KHwar ek do
milte nahīñ haiñ jab hameñ ġham-ḳhvār ek do
phirte haiñ haath meñ liye aḳhbār ek do
shorīdgi-e-sar ko maiñ ro.ūñgī tā-ba-kai
lā kar mujhe bhī de koī dīvār ek do
āñkhoñ meñ lā ke dekh tabassum kī raushnī
jiite haiñ terī chashm ke bīmār ek do
samjho hai ḳhush-nasīb vo saare jahān meñ
laa.e jo DhūñD kar koī ġham-ḳhvār ek do
phirte haiñ miir ḳhaar koī pūchhtā nahīñ
ġhālib bhī bikte haiñ sar-e-bāzār ek do
mānūs ġham se ḳhud ko 'sadaf' kar ke jī zarā
har har qadam pe haiñ pa.e āzār ek do
milte nahin hain jab hamein gham-KHwar ek do
phirte hain hath mein liye aKHbar ek do
shoridgi-e-sar ko main roungi ta-ba-kai
la kar mujhe bhi de koi diwar ek do
aankhon mein la ke dekh tabassum ki raushni
jite hain teri chashm ke bimar ek do
samjho hai KHush-nasib wo sare jahan mein
lae jo DhunD kar koi gham-KHwar ek do
phirte hain mir KHar koi puchhta nahin
ghaalib bhi bikte hain sar-e-bazar ek do
manus gham se KHud ko 'sadaf' kar ke ji zara
har har qadam pe hain pae aazar ek do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.