milti hai mujhko lazzat us yaad ki chubhan se
miltī hai mujh ko lazzat us yaad kī chubhan se
ġhurbat meñ aa.e jaise apnā koī vatan se
guzrā hai shoḳh koī lahrā ke sehn-e-dil se
ik bhīnī bhīnī ḳhushbū jaatī nahīñ badan se
duniyā kī Thokaroñ meñ rakkhā gayā hai jis ko
aatī hai us kī ḳhushbū phūloñ ke pairahan se
kyārī meñ ḳhuun Daalā paudā lagāyā jis ne
vo hī nikal gayā hai kāshāna-e-chaman se
jab ham ne baat chheḌī mahfil huī charāġhāñ
har shai ne daad māñgī zaḳhmoñ kī anjuman se
mahfil meñ aa ga.e haiñ aur suraḳh-rū bhī hoñge
e.azāz bhī milegā 'bāno' ko husn-e-zan se
milti hai mujh ko lazzat us yaad ki chubhan se
ghurbat mein aae jaise apna koi watan se
guzra hai shoKH koi lahra ke sehn-e-dil se
ek bhini bhini KHushbu jati nahin badan se
duniya ki Thokaron mein rakkha gaya hai jis ko
aati hai us ki KHushbu phulon ke pairahan se
kyari mein KHun Dala pauda lagaya jis ne
wo hi nikal gaya hai kashana-e-chaman se
jab hum ne baat chheDi mahfil hui charaghan
har shai ne dad mangi zaKHmon ki anjuman se
mahfil mein aa gae hain aur suraKH-ru bhi honge
eazaz bhi milega 'bano' ko husn-e-zan se
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 261)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.