milti rahi qalam ko saadat ki raushni
miltī rahī qalam ko sa.ādat kī raushnī
dar aa.ī harf harf meñ mid.hat kī raushnī
aane se aap ke huiiñ kāfūr zulmateñ
aalam meñ phailī aap kī rahmat kī raushnī
ġhār-e-hirā meñ le ke jo aa.e the jibra.īl
sachchā kalām nūr-e-hidāyat kī raushnī
tā-hāl ho rahī hai vo barsāt nuur kī
lamhe ne paa.ī thī jo ziyārat kī raushnī
īsār-o-darguzar kā sabaq aap ne diyā
phailā.ī aap ne hai uḳhuvvat kī raushnī
aurat ko baḳhshī aap ne aa kar hayāt-e-nau
us ko milī hai izzat-o-azmat kī raushnī
sub.h-o-masā hai 'nāz' kī bas aarzū yahī
merī navāh-e-jāñ meñ ho sīrat kī raushnī
milti rahi qalam ko saadat ki raushni
dar aai harf harf mein midhat ki raushni
aane se aap ke huin kafur zulmaten
aalam mein phaili aap ki rahmat ki raushni
ghaar-e-hira mein le ke jo aae the jibrail
sachcha kalam nur-e-hidayat ki raushni
ta-haal ho rahi hai wo barsat nur ki
lamhe ne pai thi jo ziyarat ki raushni
isar-o-darguzar ka sabaq aap ne diya
phailai aap ne hai uKHuwwat ki raushni
aurat ko baKHshi aap ne aa kar hayat-e-nau
us ko mili hai izzat-o-azmat ki raushni
subh-o-masa hai 'naz' ki bas aarzu yahi
meri nawah-e-jaan mein ho sirat ki raushni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.