minnat-kash-e-ilaj-e-masiha nahin raha
minnat-kash-e-ilāj-e-masīhā nahīñ rahā
kyā ġham agar maraz se ifāqa nahīñ rahā
kasrat meñ imtiyāz hai vahdat meñ kuchh nahīñ
qatra milā jo bahr meñ qatra nahīñ rahā
dil meñ to jalva-gar haiñ nigāhoñ se duur haiñ
parde kī baat ye hai ki parda nahīñ rahā
jo bhī rahā amal ke natā.ej se be-niyāz
hargiz vo nā-murād-e-tamannā nahīñ rahā
jis meñ ḳhudī nahīñ use jiine kā haq nahīñ
yaksāñ hai vo jahāñ meñ rahā yā nahīñ rahā
haañ āsmān-e-ġham mujhe ahl-e-zamīñ kaheñ
kab tār-e-ashk rashk-e-surayyā nahīñ rahā
'zā.iq' agar ho kahnī to kahiye mufīd baat
harzā-sarā.iyoñ kā zamāna nahīñ rahā
minnat-kash-e-ilaj-e-masiha nahin raha
kya gham agar maraz se ifaqa nahin raha
kasrat mein imtiyaz hai wahdat mein kuchh nahin
qatra mila jo bahr mein qatra nahin raha
dil mein to jalwa-gar hain nigahon se dur hain
parde ki baat ye hai ki parda nahin raha
jo bhi raha amal ke nataej se be-niyaz
hargiz wo na-murad-e-tamanna nahin raha
jis mein KHudi nahin use jine ka haq nahin
yaksan hai wo jahan mein raha ya nahin raha
han aasman-e-gham mujhe ahl-e-zamin kahen
kab tar-e-ashk rashk-e-surayya nahin raha
'zaiq' agar ho kahni to kahiye mufid baat
harza-saraiyon ka zamana nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.