minnaten karta tha ruk jao mera koi nahin
minnateñ kartā thā ruk jaao mirā koī nahīñ
mere roke se magar kaun rukā koī nahīñ
dost māshūq sanam aur ḳhudā koī nahīñ
maiñ to sab kā huuñ par afsos mirā koī nahīñ
ab to lāzim hai ki vo shaḳhs mirā ho jaa.e
ab to duniyā meñ mirā us ke sivā koī nahīñ
umr bhar saath nibhāne kā ye va.ada haa.e
umr bhar saath bhalā koī rahā koī nahīñ
mere maulā ye tire saat arab logoñ meñ
koī bhī merā nahīñ hai ba-ḳhudā koī nahīñ
bevafā.ī ko baḌā jurm batāne vaale
yaad hai tū ne bhī chal chhoḌ haTā koī nahīñ
maiñ bhī qaa.il huuñ tirī chāragarī kā lekin
ik maraz aisā bhī hai jis kī davā koī nahīñ
minnaten karta tha ruk jao mera koi nahin
mere roke se magar kaun ruka koi nahin
dost mashuq sanam aur KHuda koi nahin
main to sab ka hun par afsos mera koi nahin
ab to lazim hai ki wo shaKHs mera ho jae
ab to duniya mein mera us ke siwa koi nahin
umr bhar sath nibhane ka ye wada hae
umr bhar sath bhala koi raha koi nahin
mere maula ye tere sat arab logon mein
koi bhi mera nahin hai ba-KHuda koi nahin
bewafai ko baDa jurm batane wale
yaad hai tu ne bhi chal chhoD haTa koi nahin
main bhi qail hun teri chaaragari ka lekin
ek maraz aisa bhi hai jis ki dawa koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.