nikle hai jins-e-husn kisi karwan mein
nikle hai jins-e-husn kisī kārvāñ meñ
ye vo nahīñ matā.a ki ho har dukān meñ
jaatā hai ik hujūm-e-ġham ishq-jī ke saath
hañgāma le chale haiñ ham us bhī jahān meñ
yārab koī to vāsta sar-gashtagī kā hai
yak ishq bhar rahā hai tamām āsmān meñ
ham us se aah soz-e-dil apnā na kah sake
the ātish-e-darūñ se phaphole zabān meñ
ġham khīñchne ko kuchh to tavānā.ī chāhiye
sivayyāñ na dil meñ taab na tāqat hai jaan meñ
ġhāfil na rahiyo ham se ki ham ve nahīñ rahe
hotā hai ab to haal ajab ek aan meñ
ve din ga.e ki ātish-e-ġham dil meñ thī nihāñ
sozish rahe hai ab to har ik ustuḳhvān meñ
dil nazr-o-dīda-pesh-kash ai bā.is-e-hayāt
sach kah ki jī lage hai tirā kis makān meñ
khīñchā na kar tū teġh ki ik din nahīñ haiñ ham
zālim qabāhateñ haiñ bahut imtihān meñ
phāḌā hazār jā se garebān-e-sabr-e-'mīr'
kyā kah ga.ī nasīm-e-sahar gul ke kaan meñ
nikle hai jins-e-husn kisi karwan mein
ye wo nahin mataa ki ho har dukan mein
jata hai ek hujum-e-gham ishq-ji ke sath
hangama le chale hain hum us bhi jahan mein
yarab koi to wasta sar-gashtagi ka hai
yak ishq bhar raha hai tamam aasman mein
hum us se aah soz-e-dil apna na kah sake
the aatish-e-darun se phaphole zaban mein
gham khinchne ko kuchh to tawanai chahiye
siwayyan na dil mein tab na taqat hai jaan mein
ghafil na rahiyo hum se ki hum we nahin rahe
hota hai ab to haal ajab ek aan mein
we din gae ki aatish-e-gham dil mein thi nihan
sozish rahe hai ab to har ek ustuKHwan mein
dil nazr-o-dida-pesh-kash ai bais-e-hayat
sach kah ki ji lage hai tera kis makan mein
khincha na kar tu tegh ki ek din nahin hain hum
zalim qabahaten hain bahut imtihan mein
phaDa hazar ja se gareban-e-sabr-e-'mir'
kya kah gai nasim-e-sahar gul ke kan mein
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0300
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.