zaban rakh ghuncha san apne dahan mein
zabāñ rakh ġhuncha saañ apne dahan meñ
bañdhī muTThī chalā jā is chaman meñ
na khol ai yaar merā gor meñ muñh
ki hasrat hai mirī jaagā kafan meñ
rakhā kar haath dil par aah karte
nahīñ rahtā charāġh aisī pavan meñ
jale dil kī musībat apne sun kar
lagī hai aag saare tan badan meñ
na tujh bin hosh meñ ham aa.e saaqī
musāfir hī rahe aksar vatan meñ
ḳhirad-mandī huī zanjīr varna
guzartī ḳhuub thī dīvāna-pan meñ
kahāñ ke sham-o-parvāne ga.e mar
bahut ātash-bajāñ the is chaman meñ
kahāñ ājiz-suḳhan qādir-suḳhan huuñ
hameñ hai shub.h yāroñ ke suḳhan meñ
gudāz ishq meñ ba bhī gayā 'mīr'
yahī dhokā sā hai ab pairahan meñ
zaban rakh ghuncha san apne dahan mein
bandhi muTThi chala ja is chaman mein
na khol ai yar mera gor mein munh
ki hasrat hai meri jaga kafan mein
rakha kar hath dil par aah karte
nahin rahta charagh aisi pawan mein
jale dil ki musibat apne sun kar
lagi hai aag sare tan badan mein
na tujh bin hosh mein hum aae saqi
musafir hi rahe aksar watan mein
KHirad-mandi hui zanjir warna
guzarti KHub thi diwana-pan mein
kahan ke sham-o-parwane gae mar
bahut aatash-bajaan the is chaman mein
kahan aajiz-suKHan qadir-suKHan hun
hamein hai shubh yaron ke suKHan mein
gudaz ishq mein ba bhi gaya 'mir'
yahi dhoka sa hai ab pairahan mein
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0301
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.