Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHubi ka uski bas-ki talabgar ho gaya

Meer Taqi Meer

KHubi ka uski bas-ki talabgar ho gaya

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    ḳhūbī us bas-ki talabgār ho gayā

    gul baaġh meñ gale mire haar ho gayā

    kis ko nahīñ hai shauq tirā par na is qadar

    maiñ to usī ḳhayāl meñ bīmār ho gayā

    maiñ nau-damīda baal chaman-zād-e-tair thā

    par ghar se uTh chalā so giraftār ho gayā

    Thahrā gayā na ho ke harīf us chashm

    siine ko toḌ tīr-e-nigah paar ho gayā

    hai us ke harf zer-e-labī sabhoñ meñ zikr

    kyā baat thī ki jis ye bistār ho gayā

    to vo matā.a hai ki paḌī jis tujh pe aañkh

    vo ko bech kar bhī ḳharīdār ho gayā

    kyā kahiye āh-e-ishq meñ ḳhūbī nasīb

    dildār apnā thā so dil-āzār ho gayā

    āThoñ pahar lagā phire hai tumhāre saath

    kuchh in dinoñ maiñ ġhair bahut yaar ho gayā

    kab ro hai us se baat ke karne mujh ko 'mīr'

    nā-karda jurm meñ gunahgār ho gayā

    KHubi ka us ki bas-ki talabgar ho gaya

    gul bagh mein gale ka mere haar ho gaya

    kis ko nahin hai shauq tera par na is qadar

    main to usi KHayal mein bimar ho gaya

    main nau-damida baal chaman-zad-e-tair tha

    par ghar se uTh chala so giraftar ho gaya

    Thahra gaya na ho ke harif us ki chashm ka

    sine ko toD tir-e-nigah par ho gaya

    hai us ke harf zer-e-labi ka sabhon mein zikr

    kya baat thi ki jis ka ye bistar ho gaya

    to wo mataa hai ki paDi jis ki tujh pe aankh

    wo ji ko bech kar bhi KHaridar ho gaya

    kya kahiye aah-e-ishq mein KHubi nasib ki

    dildar apna tha so dil-azar ho gaya

    aaThon pahar laga hi phire hai tumhaare sath

    kuchh in dinon main ghair bahut yar ho gaya

    kab ro hai us se baat ke karne ka mujh ko 'mir'

    na-karda jurm mein tu gunahgar ho gaya

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0037
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now