khowen hain nind meri musibat bayaniyan
khoveñ haiñ niiñd merī musībat bayāniyāñ
tum bhī to ek raat suno ye kahāniyāñ
kyā aag de ke taur ko kī tark sar-kashī
us sho'le kī vahī haiñ sharārat kī bāniyāñ
sohbat rakhā kiyā vo safīna-o-zalāl se
dil hī meñ ḳhuuñ huā kiiñ mirī nukta-dāniyāñ
ham se to kiine hī kī adā.eñ chalī ga.iiñ
be-lutfiyāñ yahī yahī nā-mehrbāniyāñ
talvār ke tale hī gayā ahd-e-imbisāt
mar mar ke ham ne kaaTī haiñ apnī javāniyāñ
gaalī sivā.e mujh se suḳhan mat kiyā karo
achchhī lage haiñ mujh ko tirī bad-zabāniyāñ
ġhairoñ hī ke suḳhan kī taraf gosh-e-yār the
is harf-e-nā-shino ne hamārī na māniyāñ
ye be-qarāriyāñ na kabhū in nai-dekhiyāñ
jāñ-kāhiyāñ hamārī bahut sahl jāniyāñ
maarā mujhe bhī saan ke ġhairoñ meñ un ne 'mīr'
kyā ḳhaak meñ milā.īñ mirī jāñ-fishāniyāñ
khowen hain nind meri musibat bayaniyan
tum bhi to ek raat suno ye kahaniyan
kya aag de ke taur ko ki tark sar-kashi
us sho'le ki wahi hain shararat ki baniyan
sohbat rakha kiya wo safina-o-zalal se
dil hi mein KHun hua kin meri nukta-daniyan
hum se to kine hi ki adaen chali gain
be-lutfiyan yahi yahi na-mehrbaniyan
talwar ke tale hi gaya ahd-e-imbisat
mar mar ke hum ne kaTi hain apni jawaniyan
gali siwae mujh se suKHan mat kiya karo
achchhi lage hain mujh ko teri bad-zabaniyan
ghairon hi ke suKHan ki taraf gosh-e-yar the
is harf-e-na-shino ne hamari na maniyan
ye be-qarariyan na kabhu in nai-dekhiyan
jaan-kahiyan hamari bahut sahl jaaniyan
mara mujhe bhi san ke ghairon mein un ne 'mir'
kya KHak mein milain meri jaan-fishaniyan
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0329
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.