ek parwaz ko bhi ruKHsat-e-sayyaad nahin
ek parvāz ko bhī ruḳhsat-e-sayyād nahīñ
varna ye kunj-e-qafas baiza-e-faulād nahīñ
shaiḳh-e-uzlat to tah-e-ḳhāk bhī pahuñchegī baham
muft hai sair ki ye ālam-e-ījād nahīñ
daad le chhoḌūñ maiñ sayyād se apnī lekin
zo.af se mere ta.iiñ tāqat-e-faryād nahīñ
kyuuñ hī ma.azūr bhī rakh yuuñ to samajh dil meñ shaiḳh
ye qadah-ḳhvār mire qābil-e-irshād nahīñ
be-sutūñ bhī hai vahī aur vahī jū-e-shīr
thā namak shohrat-e-shīrīñ kā so farhād nahīñ
kyā kahūñ 'mīr' farāmosh kiyā un ne tujhe
maiñ to taqrīb bhī kī par tū use yaad nahīñ
ek parwaz ko bhi ruKHsat-e-sayyaad nahin
warna ye kunj-e-qafas baiza-e-faulad nahin
shaiKH-e-uzlat to tah-e-KHak bhi pahunchegi baham
muft hai sair ki ye aalam-e-ijad nahin
dad le chhoDun main sayyaad se apni lekin
zoaf se mere tain taqat-e-faryaad nahin
kyun hi mazur bhi rakh yun to samajh dil mein shaiKH
ye qadah-KHwar mere qabil-e-irshad nahin
be-sutun bhi hai wahi aur wahi ju-e-shir
tha namak shohrat-e-shirin ka so farhad nahin
kya kahun 'mir' faramosh kiya un ne tujhe
main to taqrib bhi ki par tu use yaad nahin
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0345
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.