KHush na aai tumhaari chaal hamein
ḳhush na aa.ī tumhārī chaal hameñ
yuuñ na karnā thā pā.emāl hameñ
haal kyā pūchh pūchh jaate ho
kabhū paate bhī ho bahāl hameñ
vo dahāñ vo kamar hī hai maqsūd
aur kuchh ab nahīñ ḳhayāl hameñ
is mah-e-chārdah kī duurī ne
das hī din meñ kyā hilāl hameñ
nazar aate haiñ hote jī ke vabāl
halqa halqa tumhāre baal hameñ
tangī is jā kī naqal kyā kariye
yaañ se vājib hai intiqāl hameñ
sirf lillāh ḳham ke ḳham karte
na kyā charḳh ne kalāl hameñ
muġh-bache maal mast ham darvesh
kaun kartā hai musht-māl hameñ
kab tak us tañgnā meñ khīñchiye rañj
yaañ se yārab tū hī nikāl hameñ
tark sabzān-e-shahr kariye ab
bas bahut kar chuke nihāl hameñ
vaj.h kyā hai ki 'mīr' muñh pe tire
nazar aatā hai kuchh malāl hameñ
KHush na aai tumhaari chaal hamein
yun na karna tha paemal hamein
haal kya puchh puchh jate ho
kabhu pate bhi ho bahaal hamein
wo dahan wo kamar hi hai maqsud
aur kuchh ab nahin KHayal hamein
is mah-e-chaardah ki duri ne
das hi din mein kya hilal hamein
nazar aate hain hote ji ke wabaal
halqa halqa tumhaare baal hamein
tangi is ja ki naqal kya kariye
yan se wajib hai intiqal hamein
sirf lillah KHam ke KHam karte
na kya charKH ne kalal hamein
mugh-bache mal mast hum darwesh
kaun karta hai musht-mal hamein
kab tak us tangna mein khinchiye ranj
yan se yarab tu hi nikal hamein
tark sabzan-e-shahr kariye ab
bas bahut kar chuke nihaal hamein
wajh kya hai ki 'mir' munh pe tere
nazar aata hai kuchh malal hamein
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0355
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.