jo main na hun to karo tark naz karne ko
jo maiñ na huuñ to karo tark naaz karne ko
koī to chāhiye jī bhī niyāz karne ko
na dekho ġhuncha-e-nargis kī or khulte meñ
jo dekho us kī mizha nīm-bāz karne ko
na so.e niiñd bhar is tañgnā meñ tā na muue
ki aah jā na thī pā ke darāz karne ko
jo be-dimāġhī yahī hai to ban chukī apnī
dimāġh chāhiye har ik se saaz karne ko
vo garm naaz ho to ḳhalq par tarahhum kar
pukāre aap ajal ehtirāz karne ko
jo aañsū aaveñ to pī jā ki tā rahe parda
balā hai chashm-e-tar ifshā-e-rāz karne ko
samand naaz se tere bahut hai 'arsa tañg
tanik to tark kar is tark taaz karne ko
basān-e-zar hai mirā jism-e-zār saarā zard
asar tamām hai dil ke gudāz karne ko
hanūz laḌke ho tum qadr merī kyā jaano
shu'ūr chāhiye hai imtiyāz karne ko
agarche gul bhī numūd us ke rang kartā hai
va-lek chāhiye hai muñh bhī naaz karne ko
ziyāda had se thī tābūt-e-'mīr' par kasrat
huā na vaqt musā.id namāz karne ko
jo main na hun to karo tark naz karne ko
koi to chahiye ji bhi niyaz karne ko
na dekho ghuncha-e-nargis ki or khulte mein
jo dekho us ki mizha nim-baz karne ko
na soe nind bhar is tangna mein ta na mue
ki aah ja na thi pa ke daraaz karne ko
jo be-dimaghi yahi hai to ban chuki apni
dimagh chahiye har ek se saz karne ko
wo garm naz ho to KHalq par tarahhum kar
pukare aap ajal ehtiraaz karne ko
jo aansu aawen to pi ja ki ta rahe parda
bala hai chashm-e-tar ifsha-e-raaz karne ko
samand naz se tere bahut hai 'arsa tang
tanik to tark kar is tark taz karne ko
basan-e-zar hai mera jism-e-zar sara zard
asar tamam hai dil ke gudaz karne ko
hanuz laDke ho tum qadr meri kya jaano
shu'ur chahiye hai imtiyaz karne ko
agarche gul bhi numud us ke rang karta hai
wa-lek chahiye hai munh bhi naz karne ko
ziyaada had se thi tabut-e-'mir' par kasrat
hua na waqt musaid namaz karne ko
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0401
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.