suna hai haal tere kushtagan bechaaron ka
sunā hai haal tire kushtagāñ bechāroñ kā
huā na gor gaḌhā un sitam ke māroñ kā
hazār rañg khile gul chaman ke haiñ shāhid
ki rozgār ke sar ḳhuun hai hazāroñ kā
milā hai ḳhaak meñ kis kis tarah kā aalam yaañ
nikal ke shahr se Tak sair kar mazāroñ kā
araq-fishānī se us zulf kī hirāsāñ huuñ
bhalā nahīñ hai bahut TūTnā bhī tāroñ kā
'ilāj karte haiñ saudā-e-ishq kā mere
ḳhalal-pazīr huā hai dimāġh yāroñ kā
tirī hī zulf ko mahshar meñ ham dikhā deñge
jo koī māñgegā naama siyāhkāroñ kā
ḳharāsh-e-sīna-e-āshiq bhī dil ko lag jaa.e
ajab tarah kā hai firqa ye dil-figāroñ kā
nigāh-e-mast ke maare tirī ḳharāb haiñ shoḳh
na Thor hai na Thikānā hai hoshiyāroñ kā
kareñ haiñ dā'vā ḳhush-chashmī-e-āhūvān-e-dast
Tak ek dekhne chal malak un gañvāroñ kā
taḌap ke marne se dil ke ki maġhfirat ho use
jahāñ meñ kuchh to rahā naam be-qarāroñ kā
taḌap ke ḳhirman-e-gul par kabhī gir ai bijlī
jalānā kyā hai mire āshiyāñ ke ḳhāroñ kā
tumheñ to zohd-o-vara.a par bahut hai apne ġhurūr
ḳhudā hai shaiḳh-jī ham bhī gunāhgāroñ kā
uThe hai gard kī jā naala gor se is kī
ġhubār-e-'mīr' bhī āshiq hai ne savāroñ kā
suna hai haal tere kushtagan bechaaron ka
hua na gor gaDha un sitam ke maron ka
hazar rang khile gul chaman ke hain shahid
ki rozgar ke sar KHun hai hazaron ka
mila hai KHak mein kis kis tarah ka aalam yan
nikal ke shahr se Tak sair kar mazaron ka
araq-fishani se us zulf ki hirasan hun
bhala nahin hai bahut TuTna bhi taron ka
'ilaj karte hain sauda-e-ishq ka mere
KHalal-pazir hua hai dimagh yaron ka
teri hi zulf ko mahshar mein hum dikha denge
jo koi mangega nama siyahkaron ka
KHarash-e-sina-e-ashiq bhi dil ko lag jae
ajab tarah ka hai firqa ye dil-figaron ka
nigah-e-mast ke mare teri KHarab hain shoKH
na Thor hai na Thikana hai hoshiyaron ka
karen hain da'wa KHush-chashmi-e-ahuwan-e-dast
Tak ek dekhne chal malak un ganwaron ka
taDap ke marne se dil ke ki maghfirat ho use
jahan mein kuchh to raha nam be-qararon ka
taDap ke KHirman-e-gul par kabhi gir ai bijli
jalana kya hai mere aashiyan ke KHaron ka
tumhein to zohd-o-wara par bahut hai apne ghurur
KHuda hai shaiKH-ji hum bhi gunahgaron ka
uThe hai gard ki ja nala gor se is ki
ghubar-e-'mir' bhi aashiq hai ne sawaron ka
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0040
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.