dil pe KHun hai yahan tujhko guman hai shisha
dil pe ḳhuuñ hai yahāñ tujh ko gumāñ hai shīsha
shaiḳh kyuuñ mast huā hai tū kahāñ hai shīsha
shīsha-bāzī to tanik dekhne aa āñkhoñ kī
har palak par mire ashkoñ se ravāñ hai shīsha
rū-safedī hai naqāb-e-ruḳh-e-shor-e-mastī
rīsh-e-qāzī ke sabab pamba-dahāñ hai shīsha
manzil-e-mastī ko pahuñche hai unheñ se 'ālam
nisha-e-mai-balad o sañg-e-nishāñ hai shīsha
darmiyāñ halqa-e-mastāñ ke shab us kī jā thī
daur-e-sāġhar meñ magar pīr-e-muġhāñ hai shīsha
jā ke pūchhā jo maiñ ye kār-gah-e-mīnā meñ
dil kī sūrat kā bhī ai shīsha-garāñ hai shīsha
kahne laage ki kidhar phirtā hai bahkā ai mast
har tarah kā jo tū dekhe hai ki yaañ hai shīsha
dil hī saare the pe ik vaqt meñ jo kar ke gudāz
shakl shīshe kī banā.e haiñ kahāñ hai shīsha
jhuk gayā dekh ke maiñ 'mīr' use majlis meñ
chashm-e-bad-dūr tarahdār javāñ hai shīsha
dil pe KHun hai yahan tujh ko guman hai shisha
shaiKH kyun mast hua hai tu kahan hai shisha
shisha-bazi to tanik dekhne aa aankhon ki
har palak par mere ashkon se rawan hai shisha
ru-safedi hai naqab-e-ruKH-e-shor-e-masti
rish-e-qazi ke sabab pamba-dahan hai shisha
manzil-e-masti ko pahunche hai unhen se 'alam
nisha-e-mai-balad o sang-e-nishan hai shisha
darmiyan halqa-e-mastan ke shab us ki ja thi
daur-e-saghar mein magar pir-e-mughan hai shisha
ja ke puchha jo main ye kar-gah-e-mina mein
dil ki surat ka bhi ai shisha-garan hai shisha
kahne lage ki kidhar phirta hai bahka ai mast
har tarah ka jo tu dekhe hai ki yan hai shisha
dil hi sare the pe ek waqt mein jo kar ke gudaz
shakl shishe ki banae hain kahan hai shisha
jhuk gaya dekh ke main 'mir' use majlis mein
chashm-e-bad-dur tarahdar jawan hai shisha
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0422
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.