kal mir ne kya kya ki mai ke liye betabi
kal 'mīr' ne kyā kyā kī mai ke liye betābī
āḳhir ko giro rakhā sajjāda-e-mehrābī
jaagā hai kahīñ vo bhī shab murtakib-e-mai ho
ye baat sujhātī hai un āñkhoñ kī be-ḳhvābī
kyā shahr meñ gunjā.ish mujh be-sar-o-pā ko ho
ab baḌh ga.e haiñ mere asbāb-e-kam-asbābī
din-rāt mirī chhātī jaltī hai mohabbat meñ
kyā aur na thī jaagā ye aag jo yaañ daabī
so malak phirā lekin paa.ī na vafā ik jā
jī khā ga.ī hai merā is jins kī nāyābī
ḳhuuñ basta na kyuuñ palkeñ har lahza rahīñ merī
jaate nahīñ āñkhoñ se lab-e-yār ke unnābī
jañgal hī hare tanhā rone se nahīñ mere
kohoñ kī kamar tak bhī jā pahuñchī hai sairābī
the māh-vishāñ kal jo un koThoñ pe jalve meñ
hai ḳhaak se aaj un kī har sahn meñ mahtābī
kal 'mīr' jo yaañ aayā taur is kā bahut bhāyā
vo ḳhushk-labī tis par jaama gale meñ aabī
kal 'mir' ne kya kya ki mai ke liye betabi
aaKHir ko giro rakha sajjada-e-mehrabi
jaga hai kahin wo bhi shab murtakib-e-mai ho
ye baat sujhati hai un aankhon ki be-KHwabi
kya shahr mein gunjaish mujh be-sar-o-pa ko ho
ab baDh gae hain mere asbab-e-kam-asbabi
din-raat meri chhati jalti hai mohabbat mein
kya aur na thi jaga ye aag jo yan dabi
so malak phira lekin pai na wafa ek ja
ji kha gai hai mera is jins ki nayabi
KHun basta na kyun palken har lahza rahin meri
jate nahin aankhon se lab-e-yar ke unnabi
jangal hi hare tanha rone se nahin mere
kohon ki kamar tak bhi ja pahunchi hai sairabi
the mah-wishan kal jo un koThon pe jalwe mein
hai KHak se aaj un ki har sahn mein mahtabi
kal 'mir' jo yan aaya taur is ka bahut bhaya
wo KHushk-labi tis par jama gale mein aabi
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0438
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.