kis husn se kahun main uski KHush-aKHtari ki
kis husn se kahūñ maiñ us kī ḳhush-aḳhtarī kī
is māh-rū ke aage kyā taab mushtarī kī
rakhnā na thā qadam yaañ juuñ baad be-tāmmul
sair is jahāñ kī rahrav par tū ne sarsarī kī
shub.hā bahāl sag meñ ik umr sirf kī hai
mat pūchh in ne mujh se jo ādmī-garī kī
paa.e gul us chaman meñ chhoḌā gayā na ham se
sar par hamāre ab ke mannat hai be-parī kī
pesha to ek hī thā us kā hamārā lekin
majnūñ ke tāle.oñ ne shohrat meñ yāvarī kī
girye se dāġh-e-sīna taaza hue haiñ saare
ye kisht-e-ḳhushk tū ne ai chashm phir harī kī
ye daur to muāfiq hotā nahīñ magar ab
rakhiye binā-e-tāza is charḳh-e-chambarī kī
ḳhūbāñ tumhārī ḳhūbī tā-chand naql kariye
ham rañja-ḳhātiroñ kī kyā ḳhuub dilbarī kī
ham se jo 'mīr' uḌ kar aflāk-e-charḳh meñ haiñ
un ḳhaak meñ malūñ kī kaahe ko hamsarī kī
kis husn se kahun main us ki KHush-aKHtari ki
is mah-ru ke aage kya tab mushtari ki
rakhna na tha qadam yan jun baad be-tammul
sair is jahan ki rahraw par tu ne sarsari ki
shubha bahaal sag mein ek umr sirf ki hai
mat puchh in ne mujh se jo aadmi-gari ki
pae gul us chaman mein chhoDa gaya na hum se
sar par hamare ab ke mannat hai be-pari ki
pesha to ek hi tha us ka hamara lekin
majnun ke taleon ne shohrat mein yawari ki
girye se dagh-e-sina taza hue hain sare
ye kisht-e-KHushk tu ne ai chashm phir hari ki
ye daur to muafiq hota nahin magar ab
rakhiye bina-e-taza is charKH-e-chambari ki
KHuban tumhaari KHubi ta-chand naql kariye
hum ranja-KHatiron ki kya KHub dilbari ki
hum se jo 'mir' uD kar aflak-e-charKH mein hain
un KHak mein malun ki kahe ko hamsari ki
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0471
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.