ishq mein ne KHauf-o-KHatar chahiye
ishq meñ ne ḳhauf-o-ḳhatar chāhiye
jaan ke dene ko jigar chāhiye
qābil-e-āġhosh sitam dīdgāñ
ashk sā pākīza guhar chāhiye
haal ye pahuñchā hai ki ab zo'f se
uThte palak ek pahar chāhiye
kam hai shanāsā-e-zar-e-dāġh-e-dil
us ke parakhne ko nazar chāhiye
saiñkaḌoñ marte haiñ sadā phir bhī yaañ
vāqi'a ik shām-o-sahar chāhiye
ishq ke āsār haiñ ai bul-havas
daaġh ba-dil-e-dast basar chāhiye
shart salīqa hai har ik amar meñ
'aib bhī karne ko hunar chāhiye
jaise jaras paara gulo kyā karūñ
nāla-o-afġhāñ meñ asar chāhiye
ḳhauf qayāmat kā yahī hai ki 'mīr'
ham ko jiyā bār-e-digar chāhiye
ishq mein ne KHauf-o-KHatar chahiye
jaan ke dene ko jigar chahiye
qabil-e-aghosh sitam didgan
ashk sa pakiza guhar chahiye
haal ye pahuncha hai ki ab zo'f se
uThte palak ek pahar chahiye
kam hai shanasa-e-zar-e-dagh-e-dil
us ke parakhne ko nazar chahiye
sainkaDon marte hain sada phir bhi yan
waqi'a ek sham-o-sahar chahiye
ishq ke aasar hain ai bul-hawas
dagh ba-dil-e-dast basar chahiye
shart saliqa hai har ek amar mein
'aib bhi karne ko hunar chahiye
jaise jaras para gulo kya karun
nala-o-afghan mein asar chahiye
KHauf qayamat ka yahi hai ki 'mir'
hum ko jiya bar-e-digar chahiye
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0484
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.